Raah dekhe the is din ki kabse
Aage ke sapne saja rakhe the naajane kab se
Bade utavle the yahaan se jaane ko
Zindagi ka agla padaav paane ko
Jin baton ko lekar rote the Aaj un par hansi aati hai
Na jaane kyon aaj un palon ki yaad bahut aati hai
Kaha karte the …Badi mushkil se char saal seh rahe hain
Par aaj kyon lagta hai ki kuch peeche chod rahe hain
Meri taang ab kaun kheencha karega
Sirf mera sir khane kaun mera peecha karega
ajeeb si baat pe bhi kaun treat mangega
Kaun raat bhar saath jag kar padega
bin matlab kiska number lagaya jayega
Mein ab bina matlab kis se ladoonga
Bina topic ke kisse faalto baat karoonga
Kaun fail hone par dilasa dilayega
Kaun galti se number aane par gaaliyaan sunayega
tafri pe kiske saath number lunga
Wo haseen pal ab kis ke saath jiyoonga
Kaun saala ab mujhe fasayega
faasake mere samne namune chehre banayega
Mere gaano se pareshaan kaun hoga
Kabhi muje assignment submit karte dekh hairaan kaun hoga
Kaun kahega saale tere joke pe hansi nahin aai
Kaun peeche se bula ke kahega..aage dekh bhai
Movies mein kiske saath dekhhonga
Kis ke saath boring lectures jheloonga
Bina dare sachi rai dene ki himmat kaun karega
Achanak bin matlab ke kisi ko bhi dekh kar paglon ki tarah hansna
Na jaane ye fir kab hoga
Doston ke liye kab lad payenge
Kya hum ye fir kar payenge
Raat ko saras parlour kaun jayega
bin matlab ki shart kaun lagayega
Kaun muje chane ke jhad pe chadayega
Aur jyada hawa mein udne par zameen pe layege
Meri khushi mein sach mein khush kaun hoga
Mere gam mein muj se jyada dukhi kaun hoga…
KEH DO DOSTON YE DOBAARA KAB HOGA